Adhoore hai ham
Ham aapse pyar to bohot karte hai, Par jataa nahi pate. Koshish to karte, hai par kabhi bol nahi pate. Duniya ka sabse kimati tohfa ho aap Jinke bina adhoore hai ham. Aap ke upar likhi gai har kitaab adhuri hai, Qki aapka darja us kitaab se kai jyada bada hai. Maa ki mamta aur papa ke pyar se badhakar, Is duniya me aur kuch nahi hai. Jinke bina ham adhoore hai. Maa hame 9 mahine hame sambhalti hai, Aur papa 9 mahine maa ko sambhalte hai. Maa datati hai to dusari taraf, Papa samazaate hai. Jitni mohobbat ham unse karte hai, Usse kai jyada mohobbat vo hamse karte hai. Ye pyar kabhi daant kar, kabhi rooth kar, Kabhi roo kar, kabhi maar kar, izahar karte hai Maa hame Harte hue nahi dekh sakti, Aur papa hame harne nahi dete. Maa hamare sath hai, To papa hamara Sahara hai. Maa hame kabil banati hai, To papa hame kamiyab banate hai. Maa dua deti hai aur, Papa ham...