Yaadon ki almari
Zindagi ke is safar me, Ek din har koi bas yaad ban ke reh jayega. Aur un yaadon ke almari me, Kuch Yadein rulayegi, Kuch Yadein muskurahat lautayegi. Kuch kisse, kuch baaten, kuch lamhe, Bade yaad aayenge. Yaadein beete wakt ka ehsas dilati hai Jab insaan ke saath koi nahi hota, Tab yaadein uske saath hoti hai, Yaadon ko yaad rakhana nahi padta, Yaadein zehen me reh jati hai. Kabhi bachpan yaad aata hai, To kabhi koi insaan yaad aata hai. Kabhi kabhi insaan saath chod jata hai, Par yaadein kabhi saath nahi chodti. Jo pal abhi ham jee rahe hai, Agle hi pal vo yaad ban kar reh jate hai, Ye yaadein khamosh hoti hai par bohot satati hai. Jab insaan udaas hota hai to, Purani yaade jakham bhar dete hai. Yaadein acchi ho ya buri, Vo zehen me hamesha reh jati hai. Kabhi ham kisi ko dil se yad karte hai, To kabhi kisi ki dil se yaad aati hai. Aur zindagi un ...