Pencil se lekar pen tak
Ye un dino ki baat hai Jab ham bacche hua karte the. Pehle din Rote hue hi school Gaye, aur Aur akhari din Rote hue hi ham ek dusre se bichad gaye. Pencil se lekar pen tak, Ham yuhi saari yaade likhate chale gaye. Hame school Jane ka Dil nahi karta tha, Par aaj school chodne ka Dil nahi karta. Har saal naya class, naye kisse, naye covers nayi kitabe. Par yaar, dost vahi purane.... School ham attendance ke liye nahi, Balke dosto ke liye jate the. Kya din the vo pure class ke naam aur roll number bhi yaad the! Pencil se lekar pen tak, Ham yuhi saari yaade likhate chale gaye. Tie, belt, socks aur shoes sahi hai ya nahi, Assembly me aake check karte the, Nakhoon aur baal na katwane par punishment bhi eksath khate the. School me ham ameer hua karte the, Ek pencil hath me aur ek backup me rakhate the. Hamare do hi usool the, School me teacher ka favourite banna, Aur class me...