Posts

Showing posts from August, 2022

Chod nahi sakte

Insan ki aadat hu mai,  Insan ka dushman hu mai.  Muje kamzor logon par istamal kiya jata hai.  Meri wajah se insan aksar galat faisale leta hai,  Par chahkar bhi insan chod nahi pata muje.  Meri wajah se aksar insan apne rishte tod deta hai,  Aksar insan muje apni galati chupane ke liye istamal karta hai,  Meri wajah se insan kabhi khud ko,  To kabhi logon ko taklif deta hai.  Par chahkar bhi insan chod nahi pata muje.  Kuch halat me mai takat to,  Kuch halat me kamzori ban jata hu.  Agar insan ne muje kaboo me na rakha,  To insan khud bekaboo ho jata hai.  Par chahkar bhi insan chod nahi pata muje.  Mai saari buraiyo ki jad hu aur,  Insan ko dusron ki nazar me bura,  Aur khud ki nazar me giraa deta hu.  Mai aata hu aur chala bhi jata hu,  Par zakham gehere chod jata hu.  Mai insan ka GHUSSA hu... Jise chahkar bhi insan chod nahi pata.. 

Kuch Baatein...

  Aaj baat se baat nikli to ye baat pata chali,  Kuch baatein bina kahe hi samaj aati hai,  To kuch baatein sabkuch kehkar bhi samaj nahi aati.  Kuch baaton ko kehna jaroori hota hai,  To kuch baatein ham chahkar bhi keh nahi pate.  Kuch baaton par vishvas hota hai,  To kuch baatein apne bas me nahi hoti.  Kuch baatein hai jo wakt aane par samaj aati hai,  To kuch baatein apno se nahi balke,  Parayo se karna aasan hota hai.  Kuch baatein ham dil kholkar karte hai,  To kuch baatein sirf dil me hi reh jati hai.  Kuch baatein ham nazar andaz kar dete hai,  To kuch baatein bardash kar lete hai,  Kabhi apno ke khatir kabhi apne khatir...  Kuch baatein hame yaad aati hai,  Kuch baatein ham bhula nahi pate.  Kuch baatein dil Chu jati hai,  Kuch baatein taklif deti hai.  Kuch baatein mehsoos hoti hai,  Aur vo baatein adhuri hi reh jati hai...  Kuch baatein sach, to kuch kadawi lagti hai...

Ek aarsa beet gaya

Ham is duniya me akele hi aate hai,  Aur akele hi chale jate hai.  Ham kafi dost banate hai,  Par aksar khud se dosti karna bhool jate hai.  Zindagi ke safar me kafi hamsafar milenge,  Par khud se mile hame ek aarsa beet gaya.  Ham zindagi ke bhagdaud me itne kho gaye hai,  Ke ham ne khud ko janne ka mauka hi nahi diya.  Logo ke kadam se kadam milakar chal rahe hai,  Khud ke sath chale hame ek aarsa beet gaya.  Logo ko paane ke chakkar me,  Ham ne khud ko kahi kho diya.  Ham aksar logon ki wajah se rote hai,  Par khud ke khatir roye ek aarsa beet gaya.  Ham logo se ghanto baate karte hai,  Par khud se baat kiye ek aarsa beet gaya.  Thoda sookoon chahte hai ham,  Jabke khoye hue to ham khud hai.  Aaj kal taane sunaai dete hai,  Taaliya sune hame ek aarsa beet gaya.  Tevhaar to ham aksar manate hai,  Par khushiya manaye hame ek aarsa beet gaya.  Ham dusron ke khushiyon me shamil h...