Tanhaii
Kuch bate aisi hoti hai, Jo ham tanhaii me khud se karte hai. As pass koi nahi hota bas ham, Khud ki awaj ko khud sunte hai... Sunnewala bhi koi nahi hota, Aur samajhne samjhaane bhi koi nahi hota, Bas ham aur hamari tanhai akele hote hai. Haa... kuch wakt aise bhi hote hai... Kabhi kabhi jo baate dil janta hai, vo ham samaj nahi pate. Aur jo bate ham jante hai, Vo dil samaj nahi pata. Ham kitna bhi khush rehne ki koshish karle, Par aaakhir me khushi me bhi, Hamare aasoon nikal aate hai. Haa.... kuch wakt aise bhi hote hai... Ham dost bade banate hai, Par ham khud se dosti karna bhool jate hai. Kabhi kabhi bohot kuch kehna chahate hai ham, Par chup rehne me hi behtari samajhte hai. Ham hamari Nazar me kaise bhi ho, Duniya hame kis nazariye se dekhati hai, Ham vaise hi ban jate hai. Haa.... kuch wakt aise bhi hote hai... Har koi apne...