Posts

Showing posts from April, 2023

Zindagi ki Daud

Abhi kal ki hi to baat hai,  Girte sambhalte chalna sikha tha,  Chalte chalte daudna sikha tha.  Kuch sapne dekhe, Kuch pure kiye.  Chota sapna leke aaj ham bohot door aagaye.  Zindagi ek daud hai...  Kisi ki raftar kam, to kisi ki jyada hai,  Is daud me har kisi ki manzil alag hai Par is daud me har koi jeetna chahata hai.  Kal hi to nikle the aaj ham kaha se kaha aa gaye...  Daudte daudte ham bohot aage nikal Gaye,  Koi apne piche choot gaye, to  kayi hame piche chod ke aage nikal gaye.  Is daud me alag ho gaye ham sab ke raste,  Koi apna hi apne se jalta hai,  To koi paraya apne jeet ka jashn manata hai.  Kayi dafa jo sochte hai vo karte nahi,  Aur Jo hota hai vo milta nahi.  Peeche choot gai hamari vo muskurahat,  Jisko ham purane tasviro me aaj bhi tarashte hai,  Ham bhool jate hai jis mitthi ke uper daud rahe hai,  Kal usi mitti ke neeche jana hai.  Zindagi hame dhoond rahi hai...