Chod nahi sakte
Insan ki aadat hu mai, Insan ka dushman hu mai. Muje kamzor logon par istamal kiya jata hai. Meri wajah se insan aksar galat faisale leta hai, Par chahkar bhi insan chod nahi pata muje. Meri wajah se aksar insan apne rishte tod deta hai, Aksar insan muje apni galati chupane ke liye istamal karta hai, Meri wajah se insan kabhi khud ko, To kabhi logon ko taklif deta hai. Par chahkar bhi insan chod nahi pata muje. Kuch halat me mai takat to, Kuch halat me kamzori ban jata hu. Agar insan ne muje kaboo me na rakha, To insan khud bekaboo ho jata hai. Par chahkar bhi insan chod nahi pata muje. Mai saari buraiyo ki jad hu aur, Insan ko dusron ki nazar me bura, Aur khud ki nazar me giraa deta hu. Mai aata hu aur chala bhi jata hu, Par zakham gehere chod jata hu. Mai insan ka GHUSSA hu... Jise chahkar bhi insan chod nahi pata..