Posts

Barish aur meri chai

Aaj neele aasman ki jagah kale badal the,  Aaj badal barasne wale hai,  Aur ham chai ke liye tarasne wale hai.  Bahar thandi hawa shuru hui, aur Yahan gas per meri chai ban rahi thi.  Bahar halki barish shuru hui,  Aur barish me chai ka maza dugna ho gaya.  Is barish me fursat se chai peene ka mauka milta hai,  Is ehsas me wakt ruk sa jata hai. Halki si barish aur mitthi ki mehek,  Thandi hava aur garma garam chai ki khushboo...  Juba pe chai ka swad aur baher barish ki awaj,  Ek alag hi sookoon milta hai is nazare me,  Vo barish ki boonde aur chai ki ghunte,  Bheege patton se tapakti boonde, aur Halki barish hame bhigati hui.  Barish aur chai ka kuch alag hi nata hai Barish ke wakt chai na ho, aur  chai ke wakt barish na ho,  To maza adhura reh jata hai...   Ye barish aur hath me ek cup sookoon,  Ek alag si khushi de jata hai ye maosam.  Ham sirf chai Peete nahi hai, balke Barish aur chai ke ...

Khudkhushi

Chahe aap zindagi se naraz ho, ya Zindagi aap se naraz ho.  Mushkile badi nahi hai,  Ham ne mushkilo ko bada bana diya hai.  Par zindagi me har masale ka hal hai,  Agar aap haal nikalna chaho to.  Aur khudkhushi kisi bhi masle ka hal nahi.  Khudkhushi ek faisala nahi ek bahana hai.  Kisi aur ka khayal aaye na aaye,  Apne maa baap ka khayal jaroor le aana.  Par khudkhushi kabhi mat karna.  Bohot asaan hai khudkhushi kar lena,  Par bohot mushkil hai apne pareshaniyo ko peeche chodkar aage badhana.  Zindagi bohot choti hai,  To kyu aap apne sapno ko latka rahe ho?  Kya khudkhushi ke bad aapko,  apke pareshani ka hal mil jayega?   Khudkhushi karke kyu apne maa baap ke  khushiyon ko dafan kar rahe ho?  Apna dard khatam karne ke liye,  Kyu aap apne aap ko khatam kar lete ho? Aur khudkhushi karne se  Kya aap ki khushi laut aayegi?  Mushkile badi ho sakti hai,  Magar itni bhi badi ...

ZINDAGI

  Kisi ne such hi kaha hai,  Tammanna kiski karoge agar sab kuch mil jayega zindagi me,  Kuch adhoori khwahishe hi, zindagi jine Ka maja deti hai. Milta to bohot kuch hai zindagi me,  Par baat usi ki karte hai jo milta nahi hai hame.  Is duniya me, Har sukhi insan daulati nahi hota, aur  Har daulati insan sukhi nahi hota. Zindagi me roshni bhi aayegi,  aur andhera bhi chayega,  Par kabhi hausala mat harna, kyuki Tare roshani me nahi andhero me hi chamakte hai.  Zindagi me har bar jeet Ka hi jashan manao ye zaroori nahi,  Kabhi kabhi jeetne wale ko badhai dekar Haar ka bhi jashan mana liya Karo.  Hatho ki lakire dikhakar apni taqudeer kyu dekhana chahate ho,  Jabki taqudeer to unki bhi hoti hai jinke hath nahi hote. Kabhi kisi insan ko kamjor mat samajna,  Kyuki aksar insaan kamjor halat me jyada majboot ban jata hai. Zindagi chahe kaisi bhi ho,  Log kya sochenge ye soch Kar hi zindagi jeeni padti hai. Aur agar log kya...

I am your life

The heavenly blue earth,  The place where you take birth.  3/4th of the earth I cover,  But only 25% I am pure.   And I am the reason you survive,  I am the most basic need of all.  No one can imagine a life without me,  Even the nature is incomplete without me.  I am not part of your life, In fact I am your life.  I am as valuable as gold.  I am as pure as gold.  I am as natural as gold,  I am not costly as gold.  But I am more precious than gold,  Gold is not essential,  But I am the most basic necessity of the people.  I am useful in every condition,  I am the solution for hunger, thirst and dehydration.  Today I am dying!  People in the drought are crying.  You can live without love,  But not without me.  I give you life and I save your life.  I don't have life, but I have my life cycle.  Don't pollute me and waste me,  Because every living creature needs...

Broken

Sometimes we are physically fine,  But mentally we are tired.  We say I am fine, but we are not even okay,  But now it's okay,  Everything is going easy  Because we are used to it.  Everyone is suffering,  And we don't feel like sharing.  You can't tell how your heart really feels,  Because we are in the zone of silence and fake smiles.  Every picture smiles with a broken heart inside,  It's hard to explain,  Sometimes we miss ourselves.  We feel bad and sometimes even worse,  But we can't talk about it to anyone.  Only you can be happy on your own,  No one else can make you happy.  Only you can heal your pain,  Because no one really cares.  All the day we might fight for others,  But at the end of the day we fight with ourselves too.  A good life needs some bad days too.  To live we need to struggle too.  Because life is an exam with no options. 

Ye dil

  Ek wahid dil hi hai jo har bojh sambhalta hai...  Is dil ko badi asani se pyar ho jata hai,  Aur badi mushkil se nafrat.  Ye dil kisi pe bharosa kar leta hai,  To kabhi kisi ko bharose ke layak nahi samajta.  Ye dil kisi ki kamjori ban jata hai,  To kabhi ye dil kamzor pad jata hai.  Ye dil ko kisi ki aadat lag jati hai,  To kabhi ye dil majboot ban jata hai.  Ye dil khush rehta hai,  To kabhi naraj rehta hai.  Ye dil khamosh rehte rehte,  Ek din toot jata hai.  Par ye dil wapis hame hausala deta hai.  Ye dil baate chupate chupate,  Sabar karna seekh jata hai,  Aur sab kuch sehen kar leta hai,  Aur akhir me ye dil tanha reh jata hai.  Socho agar hamare ander dil na hota,  To hame ko kon sambhal pata? 

Tanhaii

   Kuch bate aisi hoti hai,  Jo ham tanhaii me khud se karte hai.  As pass koi nahi hota bas ham,  Khud ki awaj ko khud sunte hai...  Sunnewala bhi koi nahi hota,  Aur samajhne samjhaane bhi koi nahi hota,  Bas ham aur hamari tanhai akele hote hai.  Haa... kuch wakt aise bhi hote hai...  Kabhi kabhi jo baate dil janta hai,  vo ham samaj nahi pate.  Aur jo bate ham jante hai,  Vo dil samaj nahi pata.  Ham kitna bhi khush rehne ki koshish karle,  Par aaakhir me khushi me bhi,  Hamare aasoon nikal aate hai.  Haa.... kuch wakt aise bhi hote hai...  Ham dost bade banate hai,  Par ham khud se dosti karna bhool jate hai.  Kabhi kabhi bohot kuch kehna chahate hai ham,  Par chup rehne me hi behtari samajhte hai.  Ham hamari Nazar me kaise bhi ho,  Duniya hame kis nazariye se dekhati hai,  Ham vaise hi ban jate hai.  Haa.... kuch wakt aise bhi hote hai...  Har koi apne...