Ek Rishta aisa bhi
Ek khaas aur anmol rishta, Jaha baate kam aur jhagade jyada, Lekin fir bhi ye rishta atoot hota hai. Aur bina dikhaye hi ek dusre ki fikar karte hai. Qki yaha bhai behen ka pyar chupa hota hai. Bhai ka kaam hota hai behen ki taaang khinchana, aur, Behen ke har acche kaam me burai dhoond ke nikalna, Bhai chedta hai, behen ghussa hoti hai. Bhai manaata hai, behen nakhare dikhati hai. Apni behen ko pareshan karnewala bhi, Aur pareshani me sath denewala bhi, ek bhai hi hota hai.. Haan... Ek rishta aisa bhi hota hai... Behen ka udaas chera vo turant pehchan leta hai, Aur fir apni baato se use khoob hasata hai. Dono ke beach ladhai nai jung shuru ho jati hai, Fir dono ek dusre ka chehra bhi dekhana pasand nahi karte, Par ye bhi utna hi sach hai ke, Dono bhi ek dusare ke bagair reh nahi sakte. Mana ke dono me ladhaiya bohot hoti hai, Lekin Bhai ke liye behen hi uski secret box hoti hai. Behen kitna bhi accha tayaar Q na ho jaye, Aakhir me bhai use chudail hi bulata hai. Mana ki bhai apni...