Posts

Khamoshi

 Khamoshi...  Kuch baate hamare chup rehne ki wajah ban jate hai, Q ki yaha baato ka aksar galat matlab nikala jata hai... Jaban ne bhi aab lafzo ka sath chodkar, khamoshi ko apnaya hai... Aab log apne hi khamoshi me, Apne khoye hue lafz dhoond rahe hai... Shikayate to bohot hai  Magar bata pana mushkil hai, Qki Khamosh chehre aksar lafzo ka istamal nahi karte... Khamoshi apne aap me ek kahani hai... Aisi kahani jisko lafzo me samzana mushkil hai... Magar jo khamoshi ko hi samaz nahi sakta, Vo lafzo ko kya hi samzega ...!!!

Middle Class Insan ki Kahani

  Bachpan me kheel kood aur masti ke alawa,  Dheere dheere ye bhi samaj aaya ke  papa ke kamaai se jyada to ghar ke kharche hai.  Sapne chote se hai, bade sapne dekhane ki aukaat nahi hai,  Adjustment karte karte sari umar nikal jati hai,  Par fir bhi paise kahi na kahi kam pad hi jaate hai. Ye har middle class insan ki kahani hai....  Naye kapde do teen number bade hi lete hai, aur Purane kapde poocha ban jate hai,  Khali dibba daal rakhane ke kaam aata hai,  Kaanch ke nahi steel ke bartan me hi kaam chal jata hai  Two wheeler par baithke car ka sapna dekhate hai,  Aur zaroorate puri hone se pehle hi salary khatam ho jati hai...  Ye har middle class insan ki kahani hai...  School ke fees se lekar Bijali ke bill tak,  Har chiz ko bacha bacha ke istamal karte hai taki kal kaam aa sake,  Aur aaj ko jeena bhool jate hai.    Ghar ke haalat ko dekh kar  bacche apni zid kurban kar dete hai,  Aur Itn...

Zindagi ki Daud

Abhi kal ki hi to baat hai,  Girte sambhalte chalna sikha tha,  Chalte chalte daudna sikha tha.  Kuch sapne dekhe, Kuch pure kiye.  Chota sapna leke aaj ham bohot door aagaye.  Zindagi ek daud hai...  Kisi ki raftar kam, to kisi ki jyada hai,  Is daud me har kisi ki manzil alag hai Par is daud me har koi jeetna chahata hai.  Kal hi to nikle the aaj ham kaha se kaha aa gaye...  Daudte daudte ham bohot aage nikal Gaye,  Koi apne piche choot gaye, to  kayi hame piche chod ke aage nikal gaye.  Is daud me alag ho gaye ham sab ke raste,  Koi apna hi apne se jalta hai,  To koi paraya apne jeet ka jashn manata hai.  Kayi dafa jo sochte hai vo karte nahi,  Aur Jo hota hai vo milta nahi.  Peeche choot gai hamari vo muskurahat,  Jisko ham purane tasviro me aaj bhi tarashte hai,  Ham bhool jate hai jis mitthi ke uper daud rahe hai,  Kal usi mitti ke neeche jana hai.  Zindagi hame dhoond rahi hai...

Pencil se lekar pen tak

Ye un dino ki baat hai Jab ham bacche hua karte the.  Pehle din Rote hue hi school Gaye, aur Aur akhari din Rote hue hi ham ek dusre se bichad gaye.  Pencil se lekar pen tak,  Ham yuhi saari yaade likhate chale gaye.  Hame school Jane ka Dil nahi karta tha,  Par aaj school chodne ka Dil nahi karta.  Har saal naya class, naye kisse,  naye covers nayi kitabe.  Par yaar, dost vahi purane....  School ham attendance ke liye nahi,  Balke dosto ke liye jate the.  Kya din the vo pure class ke naam aur roll number bhi yaad the!  Pencil se lekar pen tak,  Ham yuhi saari yaade likhate chale gaye.  Tie, belt, socks aur shoes sahi hai ya nahi, Assembly me aake check karte the,  Nakhoon aur baal na katwane par punishment bhi eksath khate the.  School me ham ameer hua karte the,  Ek pencil hath me aur ek backup me rakhate the.  Hamare do hi usool the,  School me teacher ka favourite banna,  Aur class me...

It's okay

  It's okay, to be not okay sometimes,  It's okay, to laugh when u want to cry.  It's okay, to be silent when u want to talk.  It's okay, to get hurt sometimes when u don't deserve it.  It's okay, to be alone sometimes.  It's okay, you can't be every time perfect,  It's okay, to make a mistake and then regret.  It's okay, you are not always responsible for whatever happens.  It's okay, if someone leaves,  It's okay, to feel sorry and sometimes forgive.  It's okay, sometimes things are not in your hand.  It's okay, you can't always be right. It's okay, to cry inside the pillow at night.  It's okay, to sometimes fail, It's okay, to be wrong,  But it's important to stay strong.  It's okay, if people don't understand us,  It's okay, if you don't understand anything,  It's okay, to feel ignored, stop overthinking.  It's okay, to sometimes feel nothing.  You don't have to always know what ...

Adhoore hai ham

  Ham aapse pyar to bohot karte hai, Par jataa nahi pate.  Koshish to karte, hai par kabhi bol nahi pate.  Duniya ka sabse kimati tohfa ho aap Jinke bina adhoore hai ham.  Aap ke upar likhi gai har kitaab adhuri hai,  Qki aapka darja us kitaab se kai jyada bada hai.   Maa ki mamta aur papa ke pyar se badhakar, Is duniya me aur kuch nahi hai.  Jinke bina ham adhoore hai.  Maa hame 9 mahine hame sambhalti hai,  Aur papa 9 mahine maa ko sambhalte hai.  Maa datati hai to dusari taraf,  Papa samazaate hai.  Jitni mohobbat ham unse karte hai,  Usse kai jyada mohobbat vo hamse karte hai.  Ye pyar kabhi daant kar, kabhi rooth kar,  Kabhi roo kar, kabhi maar kar, izahar karte hai Maa hame Harte hue nahi dekh sakti,  Aur papa hame harne nahi dete.  Maa hamare sath hai, To papa hamara Sahara hai.  Maa hame kabil banati hai,  To papa hame kamiyab banate hai.  Maa dua deti hai aur,  Papa ham...

Happy new year

The year 2022 started .... You Found new ones, lost some loved ones.  You got experiences and learnt some lessons.  You got surprises, you were surprised... You trusted, you hurted.... Every new year starts and it ends   BUT...    Now It's time to Leave these 365 days... A chance to live the upcoming 365 days.  Tomorrow a new morning with bright light,  Rejoy the moments and create new moments.... New beginning, New year is here.... Let's start a brand new story ...... Pray together for more strength and energy... Hope for more happiness and not tears... Care for those who cares.... Dump all your sorrows and forget all the fears... This Year is going to be more adventurous.... Let's all thank God for this wonderful year and  Let's all pray to God for upcoming new year.... To all of you.... Happy new year....

Ghar ki yaad aati hai

Hostel me rehne ki baraso se khwahish thi, Aur papa ne bhi haa kardi, Saman bandhate wakt har jaroori chiz dila di,  Par muje chodate wakt papa ke bhi aakhe bhar aai. Jaate wakt gharwalo ne muskurate hue kaha,  Hostel me ghar ki bohot yaad aati hai.  Aur yaha mere nayi kahani ki shuruwat hui.  Shuruwat me sab ek dusre se anjaan the,  Par fir pata hi nahi chala ke kab  Ek dusre se itne kareeb ho gaye.  Parivar se door aake yaha apna ek parivar bana liya.  Yaar doston ko bhi Bhai bulana shuru kiya.  Aaye to the sab apni apni manzil paane Par har koi khoobsurat yaade deke chala gaya.  In sab ke beach ghar ki yaad me cupke se apne aasoon bahate.  Sach kahu to ghar ki bohot yaad aati hai.  Akele rehte khana banana bhi seekh liya,  Ghar me khane me aaib nikalte the,  Aaj haskar mess ka khana khate hai.  Par maa ke khane ki badi yaad aati hai,  Kabhi kabhi paiso ka jugad karke apni bhook mitate hai.  Aur jab J...

गरीब और गरीबी

  गरीब हर किसी ने देखे हैं, पर गरीबी हर किसने नहीं देखी है। गरीब के घर जब बच्चा पैदा होता है, बिना चप्पल के चलना सिख जाता है, रोज वही सड़क, रोज वही गली घुमता है, पढ़ने का सपना होता है, पर स्कूल नहीं जा पाता है। दिन में धूप के चटके, बिना कंबल की ठंडी राते सोता है। हाथ में सिक्के जेब खाली होते हैं। रोज आखों में एक नई उम्मेद होती है, लेकिन आखों में रोज आसूं होते हैं। इन आखों ने अमीर बनने का सपना कभी नहीं देखा, बस दुआ की ए खुदा एक वक्त की रोटी दिला देना। एक दिन की रोटी कमाने के लिए, 4 दिन काम करना पड़ता है 4 दिन की भूख और हाथ में 3 दिन की बसी रोटी होती है। आज महंगाई का जमाना है, दिल करता है खुद को ही बेच दू। खुद अलमारी में रहकर, बदन पर लिबास कम पहनता हु। सडको पर सोने वाले घर तलाश कर रहे हैं, और जिन्के पास घर है वो घर से दूर भाग रहे हैं। चाहे गरीब हो या अमीर, नींद ना सडको पर पूरी होती, है ना ही कमरो में। गंदगी गरीबो ने नहीं अमीरो ने फेलाई है, क्यूकी गरीबो को मैंने सडको से कचरा उठाते देखा है। गरीब अगर अमीर हो जाए तो,  उनको पैसो की कीमत होती है, और अमीर अगर गरीब हो जाए तो, उनको पैसो ...

Bohot fark hota hai

Agar gaur kiya jaye to,  Intajar karne me, aur sabar karne me,  Bohot fark hota hai.  Mazak karne me, aur mazak udane me,  Bohot fark hota hai.  Chupakar rakhane me, aur  Sambhalkar rakhane me,  Bohot fark hota hai.  Haar jane me, aur haar manne me,  Bohot fark hota hai.  Door hone me, aur dooriyan hone me,  Bohot fark hota hai.  Sath rehne me, aur Sath dene me,  Bohot fark hota hai.  Bharosa karne me, aur bharosa hone me,  Bohot fark hota hai.  Ghadi hone me, aur wakt hone me,  Bohot fark hota hai.  Chup rehne me, aur khamosh rehne me,  Bohot fark hota hai.  Wajah batane me, aur bahana banane me,  Bohot fark hota hai.  Akele hone me, aur tanha hone me,  Bohot fark hota hai.  Kisi ki yaad aane me, aur  Kisi ki kami mehsoos hone me,  Bohot fark hota hai.  Fayada hone me, aur Fayada uthane me,  Bohot fark hota hai.  Galat karne me, aur galati kar...

Zindagi 2

  Is duniya me koi aasoon dikhakar dukh batata hai  To kuch muskurate chehero ke piche  Sabse jyada dard chupa hota hai... Aajib zindagi hai ..... Yaha log mazak ka sahara lekar Dil ki baat bol dete hai....  Zindagi me aakele rehna sikho qki Yaha koi kisi ka nahi hai.... Yaha har koi rulata hai.... Lekin bohot kam log hasate hai....  Insan accha ya bura nahi hota... Bas wakt aur halat insan ko Accha ya bura bana dete hai.... Aksar meethi baate wale log zhoot Bolte hai.... Qki, such to hamesha kadwa hota hai... Aur zindagi ek aaisa such hai jaha.... Zhoot ke bagair zindagi gujari nai ja sakti.. Aur aap pareshniyo ko pakad ke baithoge .... to unsme hi ulghe rahoge .... Pareshaniyo ko peeche chod ke to dekho.... Khud aage badhne lagoge....  Aur kisi ka sahara lekar kamiyabi hasil karoge...  To hamesha ehasanmand rahoge.. Khud ke balbute par kamiyabi hasil Karo.... Bohot Sare logo ke Kam aaoge....  Zindagi ke is safar me hame aakele hi chalna hai........

Yaadon ki almari

  Zindagi ke is safar me,  Ek din har koi bas yaad ban ke reh jayega.  Aur un yaadon ke almari me,  Kuch Yadein rulayegi,  Kuch Yadein muskurahat lautayegi.  Kuch kisse, kuch baaten, kuch lamhe, Bade yaad aayenge.  Yaadein beete wakt ka ehsas dilati hai Jab insaan ke saath koi nahi hota,  Tab yaadein uske saath hoti hai,  Yaadon ko yaad rakhana nahi padta,  Yaadein zehen me reh jati hai.  Kabhi bachpan yaad aata hai,  To kabhi koi insaan yaad aata hai.  Kabhi kabhi insaan saath chod jata hai,  Par yaadein kabhi saath nahi chodti.  Jo pal abhi ham jee rahe hai,  Agle hi pal vo yaad ban kar reh jate hai,  Ye yaadein khamosh hoti hai par bohot satati hai.  Jab insaan udaas hota hai to, Purani yaade jakham bhar dete hai.  Yaadein acchi ho ya buri,  Vo zehen me hamesha reh jati hai.  Kabhi ham kisi ko dil se yad karte hai,  To kabhi kisi ki dil se yaad aati hai.  Aur zindagi un ...

Ek Engineer

  Ghar walon ka sapna tha bacche ko engineer banane ka...  Aur aakho me unka sapna liye, ham Engineer banne nikal pade.  Accha college milne ke liye  JEE, Advance, CET har exam dedi,  Fir freshers party se college ki shuruwat hui  Aur dhire dhire pata chala,  Engineer banna itna assan nahi.  Internal, external, viva milakar,  Har semester me 30 exams hote hai.  Assignment ke sath sath extra activities bhi karne padte hai.  Engineering ka matlab samajhte samajhte,  Pehle do semesters to yu hi nikal gaye.  Par sirf engineering ki degree kafi nahi hai,  Yaha to char projects extra karne padte hai.  Tab samaj aaya  Engineer banna itna aasan nahi hai.  Har engineer ki apni ek kahani hoti hai,  Koi padhata hai, to koi sikhata hai.  Koi project complete karta hai, to koi assignment.  Dekhte hi dekhate semester pe semester nikal jate hai.  Bina kitabonke sirf exam ke ek raat pehle Ratta mark...

Daulat

   Mai insan ki vo zaroorat hu,  Jisse insan apni har zaroorat puri kar sakta hai.  Mai har kisi ka sapna hu,  Chahe amir ho ya garib.  Insan do chizon ke liye andha hai,  Ek pyar ke liye dusra paison ke liye.  Mai chahe do hazar hu ya do rupaye,  Mera har ank kimati hai insan ke liye.  Mana ke jeene ke liye paisa zaroori hai,  Par yaha to log paison ke liye jee rahe hai.  Marne ke baad paisa apne saath nahi aata,  Par fir bhi log paison par marte hai.  Mana ki paisa hi har chiz nahi hai,  Par har chiz ke liye paisa zaroori hai.  Paison se tohfa kharid sakte ho,  Par insan ki khushiya nahi.  Paison se aaisho aram wali zindagi to beeta loge,  Par sookoon wali zindagi nahi beeta paoge.  Paiso wale insan se log jalte hai,  Aur jiske pas paisa nahi usko log baaton se jala dete hai.  Jiske pas paisa nahi hota uski izzat nahi hoti,  Aur jiske pas paisa hota hai usko kisi ki izzat...

Chod nahi sakte

Insan ki aadat hu mai,  Insan ka dushman hu mai.  Muje kamzor logon par istamal kiya jata hai.  Meri wajah se insan aksar galat faisale leta hai,  Par chahkar bhi insan chod nahi pata muje.  Meri wajah se aksar insan apne rishte tod deta hai,  Aksar insan muje apni galati chupane ke liye istamal karta hai,  Meri wajah se insan kabhi khud ko,  To kabhi logon ko taklif deta hai.  Par chahkar bhi insan chod nahi pata muje.  Kuch halat me mai takat to,  Kuch halat me kamzori ban jata hu.  Agar insan ne muje kaboo me na rakha,  To insan khud bekaboo ho jata hai.  Par chahkar bhi insan chod nahi pata muje.  Mai saari buraiyo ki jad hu aur,  Insan ko dusron ki nazar me bura,  Aur khud ki nazar me giraa deta hu.  Mai aata hu aur chala bhi jata hu,  Par zakham gehere chod jata hu.  Mai insan ka GHUSSA hu... Jise chahkar bhi insan chod nahi pata.. 

Kuch Baatein...

  Aaj baat se baat nikli to ye baat pata chali,  Kuch baatein bina kahe hi samaj aati hai,  To kuch baatein sabkuch kehkar bhi samaj nahi aati.  Kuch baaton ko kehna jaroori hota hai,  To kuch baatein ham chahkar bhi keh nahi pate.  Kuch baaton par vishvas hota hai,  To kuch baatein apne bas me nahi hoti.  Kuch baatein hai jo wakt aane par samaj aati hai,  To kuch baatein apno se nahi balke,  Parayo se karna aasan hota hai.  Kuch baatein ham dil kholkar karte hai,  To kuch baatein sirf dil me hi reh jati hai.  Kuch baatein ham nazar andaz kar dete hai,  To kuch baatein bardash kar lete hai,  Kabhi apno ke khatir kabhi apne khatir...  Kuch baatein hame yaad aati hai,  Kuch baatein ham bhula nahi pate.  Kuch baatein dil Chu jati hai,  Kuch baatein taklif deti hai.  Kuch baatein mehsoos hoti hai,  Aur vo baatein adhuri hi reh jati hai...  Kuch baatein sach, to kuch kadawi lagti hai...

Ek aarsa beet gaya

Ham is duniya me akele hi aate hai,  Aur akele hi chale jate hai.  Ham kafi dost banate hai,  Par aksar khud se dosti karna bhool jate hai.  Zindagi ke safar me kafi hamsafar milenge,  Par khud se mile hame ek aarsa beet gaya.  Ham zindagi ke bhagdaud me itne kho gaye hai,  Ke ham ne khud ko janne ka mauka hi nahi diya.  Logo ke kadam se kadam milakar chal rahe hai,  Khud ke sath chale hame ek aarsa beet gaya.  Logo ko paane ke chakkar me,  Ham ne khud ko kahi kho diya.  Ham aksar logon ki wajah se rote hai,  Par khud ke khatir roye ek aarsa beet gaya.  Ham logo se ghanto baate karte hai,  Par khud se baat kiye ek aarsa beet gaya.  Thoda sookoon chahte hai ham,  Jabke khoye hue to ham khud hai.  Aaj kal taane sunaai dete hai,  Taaliya sune hame ek aarsa beet gaya.  Tevhaar to ham aksar manate hai,  Par khushiya manaye hame ek aarsa beet gaya.  Ham dusron ke khushiyon me shamil h...

Barish aur meri chai

Aaj neele aasman ki jagah kale badal the,  Aaj badal barasne wale hai,  Aur ham chai ke liye tarasne wale hai.  Bahar thandi hawa shuru hui, aur Yahan gas per meri chai ban rahi thi.  Bahar halki barish shuru hui,  Aur barish me chai ka maza dugna ho gaya.  Is barish me fursat se chai peene ka mauka milta hai,  Is ehsas me wakt ruk sa jata hai. Halki si barish aur mitthi ki mehek,  Thandi hava aur garma garam chai ki khushboo...  Juba pe chai ka swad aur baher barish ki awaj,  Ek alag hi sookoon milta hai is nazare me,  Vo barish ki boonde aur chai ki ghunte,  Bheege patton se tapakti boonde, aur Halki barish hame bhigati hui.  Barish aur chai ka kuch alag hi nata hai Barish ke wakt chai na ho, aur  chai ke wakt barish na ho,  To maza adhura reh jata hai...   Ye barish aur hath me ek cup sookoon,  Ek alag si khushi de jata hai ye maosam.  Ham sirf chai Peete nahi hai, balke Barish aur chai ke ...

Khudkhushi

Chahe aap zindagi se naraz ho, ya Zindagi aap se naraz ho.  Mushkile badi nahi hai,  Ham ne mushkilo ko bada bana diya hai.  Par zindagi me har masale ka hal hai,  Agar aap haal nikalna chaho to.  Aur khudkhushi kisi bhi masle ka hal nahi.  Khudkhushi ek faisala nahi ek bahana hai.  Kisi aur ka khayal aaye na aaye,  Apne maa baap ka khayal jaroor le aana.  Par khudkhushi kabhi mat karna.  Bohot asaan hai khudkhushi kar lena,  Par bohot mushkil hai apne pareshaniyo ko peeche chodkar aage badhana.  Zindagi bohot choti hai,  To kyu aap apne sapno ko latka rahe ho?  Kya khudkhushi ke bad aapko,  apke pareshani ka hal mil jayega?   Khudkhushi karke kyu apne maa baap ke  khushiyon ko dafan kar rahe ho?  Apna dard khatam karne ke liye,  Kyu aap apne aap ko khatam kar lete ho? Aur khudkhushi karne se  Kya aap ki khushi laut aayegi?  Mushkile badi ho sakti hai,  Magar itni bhi badi ...

ZINDAGI

  Kisi ne such hi kaha hai,  Tammanna kiski karoge agar sab kuch mil jayega zindagi me,  Kuch adhoori khwahishe hi, zindagi jine Ka maja deti hai. Milta to bohot kuch hai zindagi me,  Par baat usi ki karte hai jo milta nahi hai hame.  Is duniya me, Har sukhi insan daulati nahi hota, aur  Har daulati insan sukhi nahi hota. Zindagi me roshni bhi aayegi,  aur andhera bhi chayega,  Par kabhi hausala mat harna, kyuki Tare roshani me nahi andhero me hi chamakte hai.  Zindagi me har bar jeet Ka hi jashan manao ye zaroori nahi,  Kabhi kabhi jeetne wale ko badhai dekar Haar ka bhi jashan mana liya Karo.  Hatho ki lakire dikhakar apni taqudeer kyu dekhana chahate ho,  Jabki taqudeer to unki bhi hoti hai jinke hath nahi hote. Kabhi kisi insan ko kamjor mat samajna,  Kyuki aksar insaan kamjor halat me jyada majboot ban jata hai. Zindagi chahe kaisi bhi ho,  Log kya sochenge ye soch Kar hi zindagi jeeni padti hai. Aur agar log kya...